Woh Nayi sadak ka sama, woh Brijwasi ki chaat,
Woh monica ki ice cream, Wah usme thi kuch baat.
Woh pandit sweet ki mithai, woh ICH ka dosa,
Woh srinath ki pav bhaji aur Jain ka samosa.
Woh tempu ka saffer, woh phool bag ki hawa,
Woh Maheshwari Park ki raunak aur Laxmi bai colony ka sama.
Woh January ki kadake ki sardi, woh baarishon ke mahiney,
Woh garmi ki chuttiyan, jab chute te they paseeney.
Woh holi ki masti, woh doston ki toli,
Woh diwali ke patakhe aur janmashtmi ki roli
Woh Kila gate ki patange aur woh Cricket ka khel,
Woh ghar ki chat pe Cricket aur colony ke ladkon ka chaurahe pe mail.
Woh padav ka mahol, Woh chambal ghati se ati thandi leheren
Woh Sarafa ka nazara, Wah uske kya kehene.
Woh Loha mandi ki galiyan , woh KRG ki ladkiyan.
Woh Roxy ki balcony aur woh Agarwal ki pooriyan
Woh school ki life aur woh College ki Zindagi,
Woh MITS ka rasta aur woh Canteen ki patties
Woh College ki kudiyan aur GH ke saamne mel
Humne bhi bas dekhe hi thei wo saare khel.
Woh Nazar bagh ki market, wo highway ke dhabe
Woh poorane Gwalior ki raaste ,jahan humne safar hain kaate.
Wo chauraha , wo Railway station………
Itna sab keh diya par dil kehta hai aur bhi kuch kahoon
Wo shehar hain mera apna, jiska naam hai Gwalior
From Madhur’s College Group box